ishq mein aisa ek maqam bhi ho
ishq meñ aisā ik maqām bhī ho
ḳhāmushī jis meñ ham-kalām bhī ho
aisā afsāna koī likhā jaa.e
jis meñ likkhā mirā payām bhī ho
kyoñ nazar-band hoñ bayāñ mere
kuchh bayāñ mere ḳhās-o-ām bhī ho
dil-e-nādāñ zarā adab se dhaḌak
pyaar kā thoḌā ehtirām bhī ho
gul-e-tāza kī tarah mahke 'shaġhaf'
pat-jhaḌoñ meñ koī vo shaam bhī ho
ishq mein aisa ek maqam bhi ho
KHamushi jis mein ham-kalam bhi ho
aisa afsana koi likha jae
jis mein likkha mera payam bhi ho
kyon nazar-band hon bayan mere
kuchh bayan mere KHas-o-am bhi ho
dil-e-nadan zara adab se dhaDak
pyar ka thoDa ehtiram bhi ho
gul-e-taza ki tarah mahke 'shaghaf'
pat-jhaDon mein koi wo sham bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.