ishq mein aisi paedari hai
ishq meñ aisī pā.edārī hai
terī laġhzish bhī ham ko pyārī hai
us kā muñh moḌnā qayāmat thā
dil taḌaptā hai zaḳhm kaarī hai
terā kirdār to hai ma.amūlī
aur dastār kitnī bhārī hai
aaj din bhar udaas udaas rahā
tum ne kaise nazar utārī hai
zindagī khel hai Darāme kā
har khilāḌī pe zimmedārī hai
koī apnā nahīñ lagā mujh ko
āshnā sab haiñ sab se yaarī hai
sar-bulandī atā karegī tumheñ
ye jo fitrat meñ inkisārī hai
is kā jannat se vāsta hī nahīñ
husn-e-aḳhlāq se vo aarī hai
khiḌkiyāñ khol do zarā 'aijāz'
us ne shīshe pe choñch maarī hai
ishq mein aisi paedari hai
teri laghzish bhi hum ko pyari hai
us ka munh moDna qayamat tha
dil taDapta hai zaKHm kari hai
tera kirdar to hai mamuli
aur dastar kitni bhaari hai
aaj din bhar udas udas raha
tum ne kaise nazar utari hai
zindagi khel hai Darame ka
har khilaDi pe zimmedari hai
koi apna nahin laga mujh ko
aashna sab hain sab se yari hai
sar-bulandi ata karegi tumhein
ye jo fitrat mein inkisari hai
is ka jannat se wasta hi nahin
husn-e-aKHlaq se wo aari hai
khiDkiyan khol do zara 'aijaz'
us ne shishe pe chonch mari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.