ishq mein be-naqab hain hum log
ishq meñ be-naqāb haiñ ham log
aap apnā javāb haiñ ham log
ham ko sabr-o-sukūñ se kyā nisbat
ḳhūgar-e-iztirāb haiñ ham log
jin se qaa.em hai zindagī kā jamāl
vo sarāpā shabāb haiñ ham log
nazm-e-duniyā badal diyā ham ne
kis qadar kāmyāb haiñ ham log
ham pe tārīḳh-e-asr nāzāñ hai
bānī-e-inqalāb haiñ ham log
husn aur ishq kī hikāyat kā
ek rangīn baab haiñ ham log
ham pe īmān laa.eñ ahl-e-jahāñ
āsmānī kitāb haiñ ham log
sub.h-e-mahshar hai aañkh kā khulnā
rahne do mahv-e-ḳhvāb haiñ ham log
rāz-e-fitrat jo kholte haiñ 'bahār'
haañ vo hikmat-ma.āb haiñ ham log
ishq mein be-naqab hain hum log
aap apna jawab hain hum log
hum ko sabr-o-sukun se kya nisbat
KHugar-e-iztirab hain hum log
jin se qaem hai zindagi ka jamal
wo sarapa shabab hain hum log
nazm-e-duniya badal diya hum ne
kis qadar kaamyab hain hum log
hum pe tariKH-e-asr nazan hai
bani-e-inqalab hain hum log
husn aur ishq ki hikayat ka
ek rangin bab hain hum log
hum pe iman laen ahl-e-jahan
aasmani kitab hain hum log
subh-e-mahshar hai aankh ka khulna
rahne do mahw-e-KHwab hain hum log
raaz-e-fitrat jo kholte hain 'bahaar'
han wo hikmat-maab hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.