ishq mein dariya kya hain samundar par kiye ja sakte hain
ishq meñ dariyā kyā haiñ samundar paar kiye jā sakte haiñ
josh-e-junūñ se koh-e-girāñ mismār kiye jā sakte haiñ
dil se niklī aah se aksar arsh-e-barīñ hil jaatā hai
abr-e-duā se sahrā bhī gulzār kiye jā sakte haiñ
bāġh-e-jināñ kausar kā kināra yā ki pahāḌī tuubā kī
ḳhvāb kī āñkhoñ se kyā kyā dīdār kiye jā sakte haiñ
toḌ ke jin ko hotā ho ehsās-e-ziyāñ har baar magar
aise va.ade ek nahīñ sau baar kiye jā sakte haiñ
ek zabāñ kitne rishtoñ ko begāna kar detī hai
aur isī se ġhair bhī rishte-dār kiye jā sakte haiñ
ā.īnoñ meñ chehroñ kī sachchā.ī dikhā.ī detī hai
kyā chehre bhī aise hī zangār kiye jā sakte haiñ
baad ke har aane vaale ko mushkil phir darpesh na ho
manzil tak aate raste hamvār kiye jā sakte haiñ
ishq mein dariya kya hain samundar par kiye ja sakte hain
josh-e-junun se koh-e-giran mismar kiye ja sakte hain
dil se nikli aah se aksar arsh-e-barin hil jata hai
abr-e-dua se sahra bhi gulzar kiye ja sakte hain
bagh-e-jinan kausar ka kinara ya ki pahaDi tuba ki
KHwab ki aankhon se kya kya didar kiye ja sakte hain
toD ke jin ko hota ho ehsas-e-ziyan har bar magar
aise wade ek nahin sau bar kiye ja sakte hain
ek zaban kitne rishton ko begana kar deti hai
aur isi se ghair bhi rishte-dar kiye ja sakte hain
aainon mein chehron ki sachchai dikhai deti hai
kya chehre bhi aise hi zangar kiye ja sakte hain
baad ke har aane wale ko mushkil phir darpesh na ho
manzil tak aate raste hamwar kiye ja sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.