ishq mein Duba to phir main na dobara nikla
ishq meñ Duubā to phir maiñ na dobāra niklā
ye vo dariyā thā ki jis kā na kināra niklā
ik faqat tujh se hī ummīd-e-farāmoshī thī
tujh se ai dil na magar kaam hamārā niklā
jān-o-dil pe mire ban aa.ī hai is ulfat meñ
ishq ke saude meñ kyoñ itnā ḳhasāra niklā
ġham-e-tūfāñ ne Duboyā hai safīna apnā
is talātum meñ bhī koī na kināra niklā
ab duā se hī faqat ishq kā darmāñ ho to ho
chārasāzoñ se na is kā koī chāra niklā
sang-e-dil se tirī yaad aa ke jo Takrā.ī thī
choT patthar pe paḌī aur sharāra niklā
maiñ to sahrā meñ sarāboñ se bujhātā huuñ pyaas
ab samundar bhī mirī pyaas se haarā niklā
kab talak 'qalb' ye ġham yūñhī dabātā āḳhir
ashk jo Tapkā to phir dard hamārā niklā
ishq mein Duba to phir main na dobara nikla
ye wo dariya tha ki jis ka na kinara nikla
ek faqat tujh se hi ummid-e-faramoshi thi
tujh se ai dil na magar kaam hamara nikla
jaan-o-dil pe mere ban aai hai is ulfat mein
ishq ke saude mein kyon itna KHasara nikla
gham-e-tufan ne Duboya hai safina apna
is talatum mein bhi koi na kinara nikla
ab dua se hi faqat ishq ka darman ho to ho
chaarasazon se na is ka koi chaara nikla
sang-e-dil se teri yaad aa ke jo Takrai thi
choT patthar pe paDi aur sharara nikla
main to sahra mein sarabon se bujhata hun pyas
ab samundar bhi meri pyas se haara nikla
kab talak 'qalb' ye gham yunhi dabaata aaKHir
ashk jo Tapka to phir dard hamara nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.