ishq mein Dubi mahakti sham sa tera badan
'ishq meñ Duubī mahaktī shaam sā terā badan
os kā gul pe likhe paiġhām sā terā badan
'ishq kā tīrath lage yā dhaam sā terā badan
baa'd muddat ke mile ārām sā terā badan
ruup ḳhvāboñ ne tarāshā rang ḳhalvat ne bhare
uns kā shahkār ye ḳhush-kām sā terā badan
shaam alhaḌ mast sī milne chalī hai raat se
barf meñ maddham pighalte jaam sā terā badan
ghul gayā tab raushnī meñ jab patangā jal gayā
ātishoñ se khel ke anjām sā terā badan
tez dhāroñ ko ḳhabar kyā kaun ghāyal kaun ġharq
nā-tavāñ ko phir kahāñ samsām sā terā badan
harf sab dil se paḌhe alfāz phir bhī gum kahīñ
husn ke 'ālim pe ik ilzām sā terā badan
'ishq mein Dubi mahakti sham sa tera badan
os ka gul pe likhe paigham sa tera badan
'ishq ka tirath lage ya dham sa tera badan
ba'd muddat ke mile aaram sa tera badan
rup KHwabon ne tarasha rang KHalwat ne bhare
uns ka shahkar ye KHush-kaam sa tera badan
sham alhaD mast si milne chali hai raat se
barf mein maddham pighalte jam sa tera badan
ghul gaya tab raushni mein jab patanga jal gaya
aatishon se khel ke anjam sa tera badan
tez dhaaron ko KHabar kya kaun ghayal kaun gharq
na-tawan ko phir kahan samsam sa tera badan
harf sab dil se paDhe alfaz phir bhi gum kahin
husn ke 'alim pe ek ilzam sa tera badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.