Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein gul ke jo nalan bulbul-e-ghamnak hai

Hasrat Azimabadi

ishq mein gul ke jo nalan bulbul-e-ghamnak hai

Hasrat Azimabadi

MORE BYHasrat Azimabadi

    'ishq meñ gul ke jo nālāñ bulbul-e-ġhamnāk hai

    gul bhī us ke ġham meñ dekho kyā garebāñ-chāk hai

    dāġh-bar-dāġh ashk-bar-ashk apnī chashm o dil meñ haiñ

    kyā balā gul-ḳhez ai yaaro ye musht-e-ḳhāk hai

    ai ḳhizar jā.ūñ kahāñ maiñ kūcha-e-mai-ḳhāna chhoḌ

    ḳhush-dilī maulid o manshā ye ḳhāk-e-pāk hai

    ġharq-sar-tā-pā huuñ bahr-e-be-karān-e-ḳhūñ meñ maiñ

    āshnā pūchhe hai to ye chashm kyuuñ namnāk hai

    sarv nisbat se us qadd-e-balā baalā ko kyā

    ḳhushk chob-e-pā bigul ye vo qad-e-chālāk hai

    haa.e kin āñkhoñ se dekhūñ us ruḳh-e-raushan pe ḳhat

    chashma-e-ḳhurshīd meñ ye kyā ḳhas-o-ḳhāshāk hai

    kāfir o momin ko riqqat ġham meñ hai 'hasrat' ke haa.e

    kuchh ḳhudā Dar bhī tujh ko ai but-e-bebāk hai

    'ishq mein gul ke jo nalan bulbul-e-ghamnak hai

    gul bhi us ke gham mein dekho kya gareban-chaak hai

    dagh-bar-dagh ashk-bar-ashk apni chashm o dil mein hain

    kya bala gul-KHez ai yaro ye musht-e-KHak hai

    ai KHizar jaun kahan main kucha-e-mai-KHana chhoD

    KHush-dili ka maulid o mansha ye KHak-e-pak hai

    gharq-sar-ta-pa hun bahr-e-be-karan-e-KHun mein main

    aashna puchhe hai to ye chashm kyun namnak hai

    sarw ki nisbat se us qadd-e-bala baala ko kya

    KHushk chob-e-pa bigul ye wo qad-e-chaalak hai

    hae kin aankhon se dekhun us ruKH-e-raushan pe KHat

    chashma-e-KHurshid mein ye kya KHas-o-KHashak hai

    kafir o momin ko riqqat gham mein hai 'hasrat' ke hae

    kuchh KHuda ka Dar bhi tujh ko ai but-e-bebak hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now