ishq mein ho ke mubtila dil ne kamal kar diya
ishq meñ ho ke mubtilā dil ne kamāl kar diyā
yuuñ hī sī ek shakl ko zohra jamāl kar diyā
ham ko tumhārī bazm se uThne kā kuchh qalaq nahīñ
jaisā ḳhayāl ho sakā vaisā ḳhayāl kar diyā
sail-e-ravān-e-umr ke aage Thahar sakā na kuchh
vaqt ne mehr-e-husn ko rū-ba-zavāl kar diyā
ek sam-e-azāb sā phail gayā vajūd meñ
roz-o-shab-e-firāq ne jiinā muhāl kar diyā
merī zabān-e-ḳhushk par ret kā zā.iqa sā hai
mausam-e-bar-shigāl ne kaisā ye haal kar diyā
dhund meñ kho ke rah ga.iiñ sūrateñ mehr-o-māh sī
vaqt kī gard ne unheñ ḳhvāb-o-ḳhayāl kar diyā
ishq mein ho ke mubtila dil ne kamal kar diya
yun hi si ek shakl ko zohra jamal kar diya
hum ko tumhaari bazm se uThne ka kuchh qalaq nahin
jaisa KHayal ho saka waisa KHayal kar diya
sail-e-rawan-e-umr ke aage Thahar saka na kuchh
waqt ne mehr-e-husn ko ru-ba-zawal kar diya
ek sam-e-azab sa phail gaya wajud mein
roz-o-shab-e-firaq ne jina muhaal kar diya
meri zaban-e-KHushk par ret ka zaiqa sa hai
mausam-e-bar-shigal ne kaisa ye haal kar diya
dhund mein kho ke rah gain suraten mehr-o-mah si
waqt ki gard ne unhen KHwab-o-KHayal kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.