ishq mein ho ke tar-ba-tar jaana
ishq meñ ho ke tar-ba-tar jaanā
dil kī ḳhvāhish hai tujh pe mar jaanā
ishq ye hai nahīñ to phir kyā hai
merā chhūnā tirā nikhar jaanā
tujh ko dekhe to phir ye lāzim hai
chāñd ke chehre kā utar jaanā
ye mirā dil hai sañg-e-marmar sā
chāñdnī ban ke tum bikhar jaanā
tū mohabbat kā āshiyāna thā
chhoḌ kar tujh ko ai 'shajar' jaanā
ishq mein ho ke tar-ba-tar jaana
dil ki KHwahish hai tujh pe mar jaana
ishq ye hai nahin to phir kya hai
mera chhuna tera nikhar jaana
tujh ko dekhe to phir ye lazim hai
chand ke chehre ka utar jaana
ye mera dil hai sang-e-marmar sa
chandni ban ke tum bikhar jaana
tu mohabbat ka aashiyana tha
chhoD kar tujh ko ai 'shajar' jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.