ishq mein imkan ki had se guzarta kaun hai
ishq meñ imkān kī had se guzartā kaun hai
ohda-e-mansūr par puurā utartā kaun hai
aa.ine se jhuuT bulvāne kā hai ye ehtimām
ham se milne ke liye bantā sañvartā kaun hai
ik musalmāñ ko but-e-kāfir kahā kartā huuñ maiñ
jā.iye kah dījiye duniyā se Dartā kaun hai
log kahte haiñ ki jaarī hai mukāfāt-e-amal
ham ne bhī dekhā hai kartā kaun bhartā kaun hai
kaun kartā hai ḳhatā-e-ijtihādī āj-kal
āsmān-e-faḳhr se nīche utartā kaun hai
maiñ nahīñ huuñ gar vo dīvāna to phir is najd se
sar hathelī par liye aksar guzartā kaun hai
sang-dil se shīsha-e-dil aao Takrāte haiñ aaj
dekhte haiñ kāñch kī sūrat bikhartā kaun hai
majma.a-e-tesha-garāñ ham ne bhī dekhā hai 'shahāb'
jaan dene ko to sab kahte haiñ martā kaun hai
ishq mein imkan ki had se guzarta kaun hai
ohda-e-mansur par pura utarta kaun hai
aaine se jhuT bulwane ka hai ye ehtimam
hum se milne ke liye banta sanwarta kaun hai
ek musalman ko but-e-kafir kaha karta hun main
jaiye kah dijiye duniya se Darta kaun hai
log kahte hain ki jari hai mukafat-e-amal
hum ne bhi dekha hai karta kaun bharta kaun hai
kaun karta hai KHata-e-ijtihadi aaj-kal
aasman-e-faKHr se niche utarta kaun hai
main nahin hun gar wo diwana to phir is najd se
sar hatheli par liye aksar guzarta kaun hai
sang-dil se shisha-e-dil aao Takraate hain aaj
dekhte hain kanch ki surat bikharta kaun hai
majma-e-tesha-garan hum ne bhi dekha hai 'shahab'
jaan dene ko to sab kahte hain marta kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.