ishq mein iztirab rahta hai
Interesting Fact
1946
ishq meñ iztirāb rahtā hai
jī nihāyat ḳharāb rahtā hai
ḳhvāb sā kuchh ḳhayāl hai lekin
jaan par ik azaab rahtā hai
tishnagī jī kī baḌhtī jaatī hai
sāmne ik sarāb rahtā hai
marhamat kā tirī shumār nahīñ
dard bhī be-hisāb rahtā hai
terī bātoñ pe kaun laa.e dalīl
dil hai so lā-javāb rahtā hai
ishq mein iztirab rahta hai
ji nihayat KHarab rahta hai
KHwab sa kuchh KHayal hai lekin
jaan par ek azab rahta hai
tishnagi ji ki baDhti jati hai
samne ek sarab rahta hai
marhamat ka teri shumar nahin
dard bhi be-hisab rahta hai
teri baaton pe kaun lae dalil
dil hai so la-jawab rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.