'ishq meñ jaan se guzarne ko
ik hamīñ rah ga.e haiñ marne ko
maiñ tumhārī adāoñ ke sadqe
kabhī bigḌoge bhī sañvarne ko
kaun kā'be se bhī sivā hai buland
jhuk rahā huuñ salām karne ko
dil bikharne pe kyuuñ ye maa.il hai
rang kis kā hai ye nikharne ko
hai 'munavvar' gunāh phir bhī savāb
Dar rahe haiñ ḳhudā se Darne ko
'ishq mein jaan se guzarne ko
ek hamin rah gae hain marne ko
main tumhaari adaon ke sadqe
kabhi bigDoge bhi sanwarne ko
kaun ka'be se bhi siwa hai buland
jhuk raha hun salam karne ko
dil bikharne pe kyun ye mail hai
rang kis ka hai ye nikharne ko
hai 'munawwar' gunah phir bhi sawab
Dar rahe hain KHuda se Darne ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.