ishq mein jo nahin barbaad wo ranjha kya hai
ishq meñ jo nahīñ barbād vo rāñjhā kyā hai
naav Duubī na kabhī jis meñ vo dariyā kyā hai
is haqīqat kī taraf aur dikhānā kyā hai
tiis ke chāñd meñ ai dosto rakkhā kyā hai
pheñk kar dekh lo sikka kabhī ik chāñdī kā
jaal meñ aadmī phañstā hai parinda kyā hai
chhat se pheñkī huī laḌkī se ye kyā pūchhte ho
ham se pūchho ki ye miTTī kā khilaunā kyā hai
un ke jalvoñ kī numā.ish meñ hai ab taab kise
TuuT jaate haiñ jo patthar ke haiñ shīsha kyā hai
ḳhud ko samjhāyā akele meñ bahut ye kah kar
jis meñ kho jaa.e na apnā koī mela kyā hai
ḳhuun qānūn namak zahr halāhal ke sivā
aap batlā.iye is shahr meñ sastā kyā hai
ishq mein jo nahin barbaad wo ranjha kya hai
naw Dubi na kabhi jis mein wo dariya kya hai
is haqiqat ki taraf aur dikhana kya hai
tis ke chand mein ai dosto rakkha kya hai
phenk kar dekh lo sikka kabhi ek chandi ka
jal mein aadmi phansta hai parinda kya hai
chhat se phenki hui laDki se ye kya puchhte ho
hum se puchho ki ye miTTi ka khilauna kya hai
un ke jalwon ki numaish mein hai ab tab kise
TuT jate hain jo patthar ke hain shisha kya hai
KHud ko samjhaya akele mein bahut ye kah kar
jis mein kho jae na apna koi mela kya hai
KHun qanun namak zahr halahal ke siwa
aap batlaiye is shahr mein sasta kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.