ishq mein kaamyab aaenge
ishq meñ kāmyāb ā.eñge
ho ke ḳhāna-ḳharāb ā.eñge
jab bhī zulmat baḌhegī duniyā meñ
har taraf inqalāb ā.eñge
ḳhud pe itrānā chhoḌ de varna
tujh pe ik din itaab ā.eñge
aap to jā rahe haiñ maiḳhāne
jā ke vāpas janāb ā.eñge
ḳhushbuoñ ke safīr haiñ jo log
le ke taaza gulāb ā.eñge
kyā patā thā vo apnī āñkhoñ meñ
bhar ke jām-e-sharāb ā.eñge
aaj phir jashn hai charāġhoñ kā
aaj vo be-naqāb ā.eñge
ishq mein kaamyab aaenge
ho ke KHana-KHarab aaenge
jab bhi zulmat baDhegi duniya mein
har taraf inqalab aaenge
KHud pe itrana chhoD de warna
tujh pe ek din itab aaenge
aap to ja rahe hain maiKHane
ja ke wapas janab aaenge
KHushbuon ke safir hain jo log
le ke taza gulab aaenge
kya pata tha wo apni aankhon mein
bhar ke jam-e-sharab aaenge
aaj phir jashn hai charaghon ka
aaj wo be-naqab aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.