ishq mein kaamyab hota hai
ishq meñ kāmyāb hotā hai
jis qadar jo ḳharāb hotā hai
us kā jis par itaab hotā hai
laakh meñ intiḳhāb hotā hai
husn jab be-naqāb hotā hai
saarā aalam hijāb hotā hai
nigah-e-iltifāt ko roko
shauq-e-taskīñ ḳharāb hotā hai
husn-e-sāda-mizāj kyā jaane
dil jahāñ kāmyāb hotā hai
ishq kā dūsrā javāb kahāñ
ishq apnā javāb hotā hai
zabt kiije to ishq meñ aksar
zabt nā-kāmyāb hotā hai
un ko qaid-e-naqāb se kyā kaam
jin kā jalva naqāb hotā hai
darmiyāñ husn-o-ishq ke 'afsūñ'
ek nāzuk hijāb hotā hai
ishq mein kaamyab hota hai
jis qadar jo KHarab hota hai
us ka jis par itab hota hai
lakh mein intiKHab hota hai
husn jab be-naqab hota hai
sara aalam hijab hota hai
nigah-e-iltifat ko roko
shauq-e-taskin KHarab hota hai
husn-e-sada-mizaj kya jaane
dil jahan kaamyab hota hai
ishq ka dusra jawab kahan
ishq apna jawab hota hai
zabt kije to ishq mein aksar
zabt na-kaamyab hota hai
un ko qaid-e-naqab se kya kaam
jin ka jalwa naqab hota hai
darmiyan husn-o-ishq ke 'afsun'
ek nazuk hijab hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.