ishq mein kaun kaamyab hua
ishq meñ kaun kāmyāb huā
ishq jis ne kiyā ḳharāb huā
dekhnā hoñgī raḳhna-gar nazreñ
māne-e-dīd agar naqāb huā
rabt-e-bāham ne kar diyā mushkil
us kā maiñ vo mirā javāb huā
jal gayā tuur ġhash hue muusā
jab tirā husn be-naqāb huā
dekh kar aap mere ashkoñ kī
paanī paanī dur-e-ḳhush-āb huā
aa.ī piirī ga.iiñ umañgeñ sab
ḳhatm afsāna-e-shabāb huā
jab chale chaal vo qayāmat kī
uTh ke fitna bhī ham-rikāb huā
is qadar ḳhūgar-e-karam huuñ maiñ
mehr samjhā agar itaab huā
lafz kun kā thā muḳhtasar sā lafz
dar-haqīqat ye ik kitāb huā
bahr-e-ālam meñ sab haiñ dam-bhar ke
ġham hue maiñ huā habāb huā
ab kahāñ rāteñ aish kī 'sābir'
vo zamāna ḳhayāl-o-ḳhvāb huā
ishq mein kaun kaamyab hua
ishq jis ne kiya KHarab hua
dekhna hongi raKHna-gar nazren
mane-e-did agar naqab hua
rabt-e-baham ne kar diya mushkil
us ka main wo mera jawab hua
jal gaya tur ghash hue musa
jab tera husn be-naqab hua
dekh kar aap mere ashkon ki
pani pani dur-e-KHush-ab hua
aai piri gain umangen sab
KHatm afsana-e-shabab hua
jab chale chaal wo qayamat ki
uTh ke fitna bhi ham-rikab hua
is qadar KHugar-e-karam hun main
mehr samjha agar itab hua
lafz kun ka tha muKHtasar sa lafz
dar-haqiqat ye ek kitab hua
bahr-e-alam mein sab hain dam-bhar ke
gham hue main hua habab hua
ab kahan raaten aish ki 'sabir'
wo zamana KHayal-o-KHwab hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.