ishq mein koi hamsari karta
ishq meñ koī hamsarī kartā
ham ko ilzām se barī kartā
ek botal meñ vo samā jaatī
us ko jaadū se maiñ parī kartā
chheḌ ma.asūm sī chalā kartī
vo bhī hañs hañs ke dilbarī kartā
us ne jañgal jalā diye lekin
shāḳh ik peḌ kī harī kartā
chāñd aatā jo roz āñgan meñ
saath mere suḳhan varī kartā
shā.irī ham pe chhoḌ denī thī
mirzā 'ġhālib' sipah-garī kartā
ek din tujh ko Duub jaanā thā
jo bhī kartā tū sarsarī kartā
ḳhaak hotā vo sar-bulandī meñ
pā.emālī meñ sarvarī kartā
sher kahtā nahīñ agar maiñ bhī
ḳhirqa pahne qalandarī kartā
vo javānī 'ayāz' aisī thī
baat maiñ bhī kharī kharī kartā
ishq mein koi hamsari karta
hum ko ilzam se bari karta
ek botal mein wo sama jati
us ko jadu se main pari karta
chheD masum si chala karti
wo bhi hans hans ke dilbari karta
us ne jangal jala diye lekin
shaKH ek peD ki hari karta
chand aata jo roz aangan mein
sath mere suKHan wari karta
shairi hum pe chhoD deni thi
mirza 'ghaalib' sipah-gari karta
ek din tujh ko Dub jaana tha
jo bhi karta tu sarsari karta
KHak hota wo sar-bulandi mein
paemali mein sarwari karta
sher kahta nahin agar main bhi
KHirqa pahne qalandari karta
wo jawani 'ayaz' aisi thi
baat main bhi khari khari karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.