ishq mein kuchh bhi ho sakta hai
ishq meñ kuchh bhī ho saktā hai
ye tūfān Dubo saktā hai
jab manzil dhuñdlā jaa.e to
rasta khoTā ho saktā hai
yādoñ kī chādar ko oḌhe
koī kaise so saktā hai
aaj milā to pūchh rahā thā
kyā ab bhī kuchh ho saktā hai
phuul jhaḌeñ jis ke hoñToñ se
vo bhī ḳhaar chubho saktā hai
mere dil kī vus.at dekho
kyā kyā dard samo saktā hai
aañsū ek nadāmat vaalā
har laġhzish ko dho saktā hai
us ne kun kahnā hai 'sādī'
socho kyā kyā ho saktā hai
ishq mein kuchh bhi ho sakta hai
ye tufan Dubo sakta hai
jab manzil dhundla jae to
rasta khoTa ho sakta hai
yaadon ki chadar ko oDhe
koi kaise so sakta hai
aaj mila to puchh raha tha
kya ab bhi kuchh ho sakta hai
phul jhaDen jis ke honTon se
wo bhi KHar chubho sakta hai
mere dil ki wusat dekho
kya kya dard samo sakta hai
aansu ek nadamat wala
har laghzish ko dho sakta hai
us ne kun kahna hai 'sadi'
socho kya kya ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.