ishq mein kuchh bhi mayassar nahin aasan mujhko
'ishq meñ kuchh bhī mayassar nahīñ āsāñ mujh ko
raas aayā na koī dard kā darmāñ mujh ko
mujh ko in kapḌoñ meñ pahchān kahāñ pā.egī vo
us ne dekhā hai faqat chāk-garebāñ mujh ko
is qadar tang-nazar haiñ ye mire daur ke log
urdu likhtā huuñ to kahte haiñ musalmāñ mujh ko
ab tire vasl kī rāhat kī tamanna bhī nahīñ
ab to raas aane lagā hai ġham-e-hijrāñ mujh ko
yuuñ to sah letā huuñ ab dhuup kī talḳhī phir bhī
yaad aatī hai tirī zulf-e-pareshāñ mujh ko
'ishq mein kuchh bhi mayassar nahin aasan mujh ko
ras aaya na koi dard ka darman mujh ko
mujh ko in kapDon mein pahchan kahan paegi wo
us ne dekha hai faqat chaak-gareban mujh ko
is qadar tang-nazar hain ye mere daur ke log
urdu likhta hun to kahte hain musalman mujh ko
ab tere wasl ki rahat ki tamanna bhi nahin
ab to ras aane laga hai gham-e-hijran mujh ko
yun to sah leta hun ab dhup ki talKHi phir bhi
yaad aati hai teri zulf-e-pareshan mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.