ishq mein kuchh is sabab se bhi hai aasani mujhe
ishq meñ kuchh is sabab se bhī hai āsānī mujhe
qalb sahrā.ī milā hai aañkh bārānī mujhe
mere aur mere chachā ke daur meñ ye farq hai
un ko to biivī milī thī aur ustānī mujhe
ek hī misre meñ das das baar dil biryāñ huā
vo ġhazal meñ bāñdh kar dete haiñ biryānī mujhe
coca-cola kar ga.ī mujh ko qalandar kī ye baat
rail ke Dabbe meñ kyuuñ miltā nahīñ paanī mujhe
zaḳhm vo dil par lagāte haiñ mire aur us pe roz
apne ghar se bhej dete haiñ namak-dānī mujhe
saare shikve duur ho jaa.eñ jo qudarat sauñp de
merī dānā.ī tujhe aur terī nādānī mujhe
phūñk detā huuñ maiñ us par apnā koī sher-e-ḳhush
jab Darātā hai koī andoh-e-pinhānī mujhe
ishq mein kuchh is sabab se bhi hai aasani mujhe
qalb sahrai mila hai aankh barani mujhe
mere aur mere chacha ke daur mein ye farq hai
un ko to biwi mili thi aur ustani mujhe
ek hi misre mein das das bar dil biryan hua
wo ghazal mein bandh kar dete hain biryani mujhe
coca-cola kar gai mujh ko qalandar ki ye baat
rail ke Dabbe mein kyun milta nahin pani mujhe
zaKHm wo dil par lagate hain mere aur us pe roz
apne ghar se bhej dete hain namak-dani mujhe
sare shikwe dur ho jaen jo qudarat saunp de
meri danai tujhe aur teri nadani mujhe
phunk deta hun main us par apna koi sher-e-KHush
jab Daraata hai koi andoh-e-pinhani mujhe
- Book : Dish antenna (Pg. 100)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.