ishq mein kuchh is tarah diwangi chhai ki bas
ishq mein kuchh is tarah diwangi chhai ki bas
Syed Mubeen Alvi Khairabadi
MORE BYSyed Mubeen Alvi Khairabadi
ishq meñ kuchh is tarah dīvāngī chhā.ī ki bas
kūcha-e-arbāb-e-dil se ye sadā aa.ī ki bas
jab qadam dīvāngī kī had se aage baḌh ga.e
dekhne vāloñ ko mujh par vo hañsī aa.ī ki bas
bū-e-mushkīñ muskurā.ī phuul ḳhushbū le uḌe
us sarāpā-nāz kī yuuñ zulf lahrā.ī ki bas
dekh kar vo bāñkpan vo husn vo rañgīñ shabāb
dil kī hasrat ne bhī āḳhir lī vo añgḌā.ī ki bas
ham se kuchh bhī ho na paa.ī ehtiyāt-e-dilbarī
apnī kotāhī pe aisī aañkh sharmā.ī ki bas
le ke sāġhar haath meñ ham chal paḌe jab ai 'mubīn'
mai-kade meñ ik fazā kuchh aisī lahrā.ī ki bas
ishq mein kuchh is tarah diwangi chhai ki bas
kucha-e-arbab-e-dil se ye sada aai ki bas
jab qadam diwangi ki had se aage baDh gae
dekhne walon ko mujh par wo hansi aai ki bas
bu-e-mushkin muskurai phul KHushbu le uDe
us sarapa-naz ki yun zulf lahrai ki bas
dekh kar wo bankpan wo husn wo rangin shabab
dil ki hasrat ne bhi aaKHir li wo angDai ki bas
hum se kuchh bhi ho na pai ehtiyat-e-dilbari
apni kotahi pe aisi aankh sharmai ki bas
le ke saghar hath mein hum chal paDe jab ai 'mubin'
mai-kade mein ek faza kuchh aisi lahrai ki bas
- Book : Pirahn-e-harf (Pg. 90)
- Author : Mubeen Alvi Khairabadi
- Publication : Mubeen Alvi Khairabadi (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.