ishq mein kya khoya kya paya main bhi sochun tu bhi soch
ishq mein kya khoya kya paya main bhi sochun tu bhi soch
Mayank Akbarabadi
MORE BYMayank Akbarabadi
ishq meñ kyā khoyā kyā paayā maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
kyā ye tasavvur zehn meñ aaya maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
har chehre par chehra ho to kaise ham pahchāneñge
kaun hai apnā kaun parāyā maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
qabr meñ jā kar miTTī meñ mil jaane vaalī miTTī ko
yāroñ ne phir kyoñ nahlāyā maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
tū bhī qātil maiñ bhī qātil maqtal ham donoñ ke dil
kis ne kis kā ḳhuun bahāyā maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
phuul khilātā thā jo kal tak aaj vo kāñTe botā hai
farq ye is meñ kaise aaya maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
duniyā bhī ik sarmāya hai uqbā bhī ik sarmāya
kaun sā achchhā hai sarmāyā maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
jab tak sūraj sar pe nahīñ thā saath 'mayank' ye chaltā thā
paañv tale ab kyoñ hai saayā maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
ishq mein kya khoya kya paya main bhi sochun tu bhi soch
kya ye tasawwur zehn mein aaya main bhi sochun tu bhi soch
har chehre par chehra ho to kaise hum pahchanenge
kaun hai apna kaun paraya main bhi sochun tu bhi soch
qabr mein ja kar miTTi mein mil jaane wali miTTi ko
yaron ne phir kyon nahlaya main bhi sochun tu bhi soch
tu bhi qatil main bhi qatil maqtal hum donon ke dil
kis ne kis ka KHun bahaya main bhi sochun tu bhi soch
phul khilata tha jo kal tak aaj wo kanTe bota hai
farq ye is mein kaise aaya main bhi sochun tu bhi soch
duniya bhi ek sarmaya hai uqba bhi ek sarmaya
kaun sa achchha hai sarmaya main bhi sochun tu bhi soch
jab tak suraj sar pe nahin tha sath 'mayank' ye chalta tha
panw tale ab kyon hai saya main bhi sochun tu bhi soch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.