Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq mein kya kya mere junun ki ki na burai logo ne

Zafar Gorakhpuri

ishq mein kya kya mere junun ki ki na burai logo ne

Zafar Gorakhpuri

MORE BYZafar Gorakhpuri

    ishq meñ kyā kyā mere junūñ na burā.ī logo ne

    kuchh tum ne badnām kiyā kuchh aag lagā.īñ logo ne

    mere lahū ke rang se chamkī mehñdī kitne hāthoñ par

    shahr meñ jis din qatl huā maiñ eid manā.ī logo ne

    ham un ko baam pe laa.e aur ham mahrūm rahe

    parda apne naam se uTThā aañkh milā.ī logoñ ne

    logoñ bhī ehsān hai ham par ham tere bhī shukr-guzār

    terī nazar ne maarā ham ko laash uThā.ī logo ne

    logoñ ne armān nikāle hameñ bigḌī raas na aa.ī

    ham ko 'zafar' kal shaiḳh samajh kar ḳhuub pilā.ī logoñ ne

    ishq mein kya kya mere junun ki ki na burai logo ne

    kuchh tum ne badnam kiya kuchh aag lagain logo ne

    mere lahu ke rang se chamki mehndi kitne hathon par

    shahr mein jis din qatl hua main eid manai logo ne

    hum hi un ko baam pe lae aur hum hi mahrum rahe

    parda apne nam se uTTha aankh milai logon ne

    logon ka bhi ehsan hai hum par hum tere bhi shukr-guzar

    teri nazar ne mara hum ko lash uThai logo ne

    logon ne arman nikale hamein hi bigDi ras na aai

    hum ko 'zafar' kal shaiKH samajh kar KHub pilai logon ne

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Munni Begum

    Munni Begum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now