ishq mein mujhko bigaD kar ab sanwarna aa gaya
ishq meñ mujh ko bigaḌ kar ab sañvarnā aa gayā
ho gayā nākām lekin kaam karnā aa gayā
ye agar sach hai ki mujh ko ishq karnā aa gayā
to samajh lo roz jiinā roz marnā aa gayā
dāva-e-ishq-o-vafā par mujh ko marnā aa gayā
kah guzarne kī jagah ab kar guzarnā aa gayā
varta-e-dariyā-e-ġham ne aise ġhote de diye
Dūbnā phir Duub kar mujh ko ubharnā aa gayā
chand ḳhūñ-ālūda aañsū jazb-e-dāman ho ga.e
paikar-e-sāda meñ ġham ko rañg bharnā aa gayā
sheva-e-ishq-o-vafā meñ ham ko nākāmī sahī
kam se kam ye to huā be-maut marnā aa gayā
shauq se zulm-o-sitam ab roz Dhāte jā.iye
ahl-e-ġham ko ġham uThā kar ġham na karnā aa gayā
kuchh tavahhum kuchh tavaqqo.a kuchh alam kuchh imbisāt
ishq kar ke mujh ko jiinā aur marnā aa gayā
kasrat-e-āzār ne ta.alīm de dī zabt kī
jabr ke baa.is se dil ko sabr karnā aa gayā
ashk āñkhoñ meñ pahuñch kar dil meñ phir vāpas ga.e
yuuñ samajh le chaḌhte dariyā kā utarnā aa gayā
kam se kam thā ik tarah kā aasrā iqrār tak
lekin un ko saaf ab inkār karnā aa gayā
rahguzar se ishq kī maiñ aaj tak guzrā nahīñ
kis tarah kah duuñ mujhe jī se guzarnā aa gayā
husn kī naḳhvat ne pahuñchāyā uḌā kar arsh tak
ab to pariyoñ kā bhī tum ko par katarnā aa gayā
bahr-e-zauq-o-shauq meñ ye bhī ġhanīmat jāniye
'nūh' ko tūfān uThā kar ġharq karnā aa gayā
ishq mein mujh ko bigaD kar ab sanwarna aa gaya
ho gaya nakaam lekin kaam karna aa gaya
ye agar sach hai ki mujh ko ishq karna aa gaya
to samajh lo roz jina roz marna aa gaya
dawa-e-ishq-o-wafa par mujh ko marna aa gaya
kah guzarne ki jagah ab kar guzarna aa gaya
warta-e-dariya-e-gham ne aise ghote de diye
Dubna phir Dub kar mujh ko ubharna aa gaya
chand KHun-aluda aansu jazb-e-daman ho gae
paikar-e-sada mein gham ko rang bharna aa gaya
shewa-e-ishq-o-wafa mein hum ko nakaami sahi
kam se kam ye to hua be-maut marna aa gaya
shauq se zulm-o-sitam ab roz Dhate jaiye
ahl-e-gham ko gham uTha kar gham na karna aa gaya
kuchh tawahhum kuchh tawaqqoa kuchh alam kuchh imbisat
ishq kar ke mujh ko jina aur marna aa gaya
kasrat-e-azar ne talim de di zabt ki
jabr ke bais se dil ko sabr karna aa gaya
ashk aankhon mein pahunch kar dil mein phir wapas gae
yun samajh le chaDhte dariya ka utarna aa gaya
kam se kam tha ek tarah ka aasra iqrar tak
lekin un ko saf ab inkar karna aa gaya
rahguzar se ishq ki main aaj tak guzra nahin
kis tarah kah dun mujhe ji se guzarna aa gaya
husn ki naKHwat ne pahunchaya uDa kar arsh tak
ab to pariyon ka bhi tum ko par katarna aa gaya
bahr-e-zauq-o-shauq mein ye bhi ghanimat jaaniye
'nuh' ko tufan uTha kar gharq karna aa gaya
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 40)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.