ishq mein qafila-e-salar nahin chahiye hai
ishq meñ qāfila-e-sālār nahīñ chāhiye hai
ye to dīvār hai dīvār nahīñ chāhiye hai
ye to suntī hai faqat dirham-o-dīnār kī baat
ye hai duniyā ise kirdār nahīñ chāhiye hai
kah diyā hai ki mohabbat kī zarūrat hai so hai
ham ko is baab meñ takrār nahīñ chāhiye hai
ham to apne hī kisī dhyān meñ baiThe hue haiñ
khīñch lo sāya-e-dīvār nahīñ chāhiye hai
mujh se mat itne takalluf se milā kar 'maz.har'
chāhiye yaar adākār nahīñ chāhiye hai
ishq mein qafila-e-salar nahin chahiye hai
ye to diwar hai diwar nahin chahiye hai
ye to sunti hai faqat dirham-o-dinar ki baat
ye hai duniya ise kirdar nahin chahiye hai
kah diya hai ki mohabbat ki zarurat hai so hai
hum ko is bab mein takrar nahin chahiye hai
hum to apne hi kisi dhyan mein baiThe hue hain
khinch lo saya-e-diwar nahin chahiye hai
mujh se mat itne takalluf se mila kar 'mazhar'
chahiye yar adakar nahin chahiye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.