ishq mein sab kuchh luTa kar chal diye
ishq meñ sab kuchh luTā kar chal diye
apnī qismat aazmā kar chal diye
rāh-e-mushkil be-nishāñ thī ham magar
har qadam manzil banā kar chal diye
jitne jugnū tīrgī meñ mil ga.e
sab ko dāman meñ chhupā kar chal diye
ik diyā thā rahguzar pe bujh chukā
us diye ko ham jalā kar chal diye
kar ke maiḳhāne ko ham ne alvidā.a
dil ko but-ḳhāna banā kar chal diye
ishq mein sab kuchh luTa kar chal diye
apni qismat aazma kar chal diye
rah-e-mushkil be-nishan thi hum magar
har qadam manzil bana kar chal diye
jitne jugnu tirgi mein mil gae
sab ko daman mein chhupa kar chal diye
ek diya tha rahguzar pe bujh chuka
us diye ko hum jala kar chal diye
kar ke maiKHane ko hum ne alwidaa
dil ko but-KHana bana kar chal diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.