ishq mein soz na ho husn mein tasKHir na ho
ishq mein soz na ho husn mein tasKHir na ho
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
ishq meñ soz na ho husn meñ tasḳhīr na ho
phir to taḳhrīb hī duniyā meñ ho ta.amīr na ho
terī insān ye azmat na ho tauqīr na ho
ma.asiyat kī jo tire paañv meñ zanjīr na ho
shikva-e-kātib-e-taqdīr bajā hai lekin
dast-e-tadbīr meñ jab dāman-e-taqdīr na ho
dil kī āvāz asar se nahīñ hotī ḳhālī
hai kamī tujh meñ agar baat meñ tāsīr na ho
tū batā tere sivā aur maiñ kis se māñgūñ
iḳhtiyār itnā ki sarzad koī taqsīr na ho
araq-ālūd jabīñ nīchī nazar lab pe hañsī
jis ko vo dekh rahe haiñ mirī tasvīr na ho
ishq mein soz na ho husn mein tasKHir na ho
phir to taKHrib hi duniya mein ho tamir na ho
teri insan ye azmat na ho tauqir na ho
masiyat ki jo tere panw mein zanjir na ho
shikwa-e-katib-e-taqdir baja hai lekin
dast-e-tadbir mein jab daman-e-taqdir na ho
dil ki aawaz asar se nahin hoti KHali
hai kami tujh mein agar baat mein tasir na ho
tu bata tere siwa aur main kis se mangun
iKHtiyar itna ki sarzad koi taqsir na ho
araq-alud jabin nichi nazar lab pe hansi
jis ko wo dekh rahe hain meri taswir na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.