ishq mein unki tarah shad nahin ho sakta
ishq meñ un kī tarah shaad nahīñ ho saktā
ab koī 'qais' yā 'farhād' nahīñ ho saktā
mere ustād ne aksar ye kahā hai mujh se
vaqt jaisā koī ustād nahīñ ho saktā
vo jo hamdard ho sayyād kī tanhā.ī se
vo parinda kabhī āzād nahīñ ho saktā
dasht ne mujh se kahā jā to rahā hai lekin
tū mujhe chhoḌ ke ābād nahīñ ho saktā
yā ḳhudā vaqt koī aisā atā mat karnā
us kī yādoñ meñ jo barbād nahīñ ho saktā
ishq mein un ki tarah shad nahin ho sakta
ab koi 'qais' ya 'farhad' nahin ho sakta
mere ustad ne aksar ye kaha hai mujh se
waqt jaisa koi ustad nahin ho sakta
wo jo hamdard ho sayyaad ki tanhai se
wo parinda kabhi aazad nahin ho sakta
dasht ne mujh se kaha ja to raha hai lekin
tu mujhe chhoD ke aabaad nahin ho sakta
ya KHuda waqt koi aisa ata mat karna
us ki yaadon mein jo barbaad nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.