ishq mein wo badnam hua hai
ishq meñ vo badnām huā hai
charchā us kā aam huā hai
haq-goī hī un kī ḳhatā thī
jin kā qatl-e-ām huā hai
is dil par kyā haq hai merā
ye dil tere naam huā hai
ik ablā kī hamdardī meñ
vo nāhaq badnām huā hai
saaqī ham par bhī ho tavajjoh
ḳhālī kab kā jaam huā hai
saaf harīfoñ kī sāzish thī
sābit kab ilzām huā hai
ishq kī kyā ho qadr vahāñ par
husn jahāñ nīlām huā hai
'shāz' kī qismat hai kuchh aisī
vo aksar nākām huā hai
ishq mein wo badnam hua hai
charcha us ka aam hua hai
haq-goi hi un ki KHata thi
jin ka qatl-e-am hua hai
is dil par kya haq hai mera
ye dil tere nam hua hai
ek abla ki hamdardi mein
wo nahaq badnam hua hai
saqi hum par bhi ho tawajjoh
KHali kab ka jam hua hai
saf harifon ki sazish thi
sabit kab ilzam hua hai
ishq ki kya ho qadr wahan par
husn jahan nilam hua hai
'shaz' ki qismat hai kuchh aisi
wo aksar nakaam hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.