ishq mein ye hui haalat tere diwane ki
ishq meñ ye huī hālat tire dīvāne kī
ab na jiine kī tamannā hai na mar jaane kī
raqs miinā kā kabhī shoḳhiyāñ paimāne kī
yaad aatī haiñ fazā.eñ tire maiḳhāne kī
kuchh is andāz se tartīb diyā hai maiñ ne
tum se tashrīh na hogī mire afsāne kī
merī qismat hī meñ likkhī thī tabāhī ai dost
hai shikāyat mujhe apne kī na begāne kī
vo bhī bīmār-e-mohabbat kā uḌāte haiñ mazāq
dekh kar jin ko tavaqqo.a thī sambhal jaane kī
kyuuñ na tauqīr kareñ aaj mirī ahl-e-haram
ḳhaak chhānī hai bahut maiñ ne sanam-ḳhāne kī
hijr ālām ḳhalish soz taḌap dard-e-jigar
surḳhiyāñ haiñ ye mire ishq ke afsāne kī
ishq mein ye hui haalat tere diwane ki
ab na jine ki tamanna hai na mar jaane ki
raqs mina ka kabhi shoKHiyan paimane ki
yaad aati hain fazaen tere maiKHane ki
kuchh is andaz se tartib diya hai main ne
tum se tashrih na hogi mere afsane ki
meri qismat hi mein likkhi thi tabahi ai dost
hai shikayat mujhe apne ki na begane ki
wo bhi bimar-e-mohabbat ka uDate hain mazaq
dekh kar jin ko tawaqqoa thi sambhal jaane ki
kyun na tauqir karen aaj meri ahl-e-haram
KHak chhani hai bahut main ne sanam-KHane ki
hijr aalam KHalish soz taDap dard-e-jigar
surKHiyan hain ye mere ishq ke afsane ki
- Book : Mehraab (Pg. 87)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : Maktaba Nida-e-ittiihaad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.