ishq mein zabt-e-fughan darkar hai
ishq meñ zabt-e-fuġhāñ darkār hai
be-zabānī kī zabāñ darkār hai
dair-o-ka.aba se nahīñ koī ġharaz
mujh ko terā āstāñ darkār hai
vahshat-e-dil kā ho koī to ilaaj
sohbat-e-pīr-e-muġhāñ darkār hai
mere dil kī samt vo nazreñ uThīñ
bijliyoñ ko āshiyāñ darkār hai
shauq se aa kar mire dil meñ raheñ
aap ko ḳhālī makāñ darkār hai
in ghanī zulfoñ kā saaya kījiye
dhuup meñ ik sā.ebāñ darkār hai
maiñ isī duniyā ko kahtā huuñ bahisht
shaiḳh ko bāġh-e-jināñ darkār hai
vārdāt-e-qalb hai mujh ko aziiz
aap ko husn-e-bayāñ darkār hai
rāz-e-dil kis par karūñ maiñ āshkār
koī dil kā rāzdāñ darkār hai
nā-shanāsān-e-adab mere harīf
sohbat-e-dānish-varāñ darkār hai
zindagī se ho gayā hai dil uchāT
phir hadīs-e-dil-barāñ darkār hai
hāsidoñ meñ ghir gayā huuñ ai 'bahār'
fikr-o-fan kā qadr-dāñ darkār hai
ishq mein zabt-e-fughan darkar hai
be-zabani ki zaban darkar hai
dair-o-kaba se nahin koi gharaz
mujh ko tera aastan darkar hai
wahshat-e-dil ka ho koi to ilaj
sohbat-e-pir-e-mughan darkar hai
mere dil ki samt wo nazren uThin
bijliyon ko aashiyan darkar hai
shauq se aa kar mere dil mein rahen
aap ko KHali makan darkar hai
in ghani zulfon ka saya kijiye
dhup mein ek saeban darkar hai
main isi duniya ko kahta hun bahisht
shaiKH ko bagh-e-jinan darkar hai
wardat-e-qalb hai mujh ko aziz
aap ko husn-e-bayan darkar hai
raaz-e-dil kis par karun main aashkar
koi dil ka raazdan darkar hai
na-shanasan-e-adab mere harif
sohbat-e-danish-waran darkar hai
zindagi se ho gaya hai dil uchaT
phir hadis-e-dil-baran darkar hai
hasidon mein ghir gaya hun ai 'bahaar'
fikr-o-fan ka qadr-dan darkar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.