ishq mein zist ke aasar kahan
ishq meñ ziist ke āsār kahāñ
dasht meñ sāya-e-dīvār kahāñ
manzil-e-be-ḳhudī-e-ishq na pūchh
āgahī vāqif-e-asrār kahāñ
apnī hastī pe nazar ai tauba
mastī-e-ishq meñ pindār kahāñ
kis se pūchhūñ vo nazar kab uTThī
mai-kade meñ koī hushiyār kahāñ
ishq se ruuh habāb-e-abadī
aql hai mahram-e-asrār kahāñ
jaam meñ ishq-e-majāzī mere
mastī-e-bāda-e-attār kahāñ
ishq mein zist ke aasar kahan
dasht mein saya-e-diwar kahan
manzil-e-be-KHudi-e-ishq na puchh
aagahi waqif-e-asrar kahan
apni hasti pe nazar ai tauba
masti-e-ishq mein pindar kahan
kis se puchhun wo nazar kab uTThi
mai-kade mein koi hushiyar kahan
ishq se ruh habab-e-abadi
aql hai mahram-e-asrar kahan
jam mein ishq-e-majazi mere
masti-e-baada-e-attar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.