ishq mera ghurur tha un ka
ishq merā ġhurūr thā un kā
mujh pe har pal surūr thā un kā
duur kis ne kiyā añdheroñ ko
mujh ko lagtā hai nuur thā un kā
bas nigāhoñ se qatl kar baiThe
aur tū kyā qusūr thā un kā
baad barsoñ ke vo mile mujh se
kuchh to maqsad zarūr thā un kā
dil liTāyā to kyā kiyā hāsil
vo to kab se huzūr thā un kā
ishq mera ghurur tha un ka
mujh pe har pal surur tha un ka
dur kis ne kiya andheron ko
mujh ko lagta hai nur tha un ka
bas nigahon se qatl kar baiThe
aur tu kya qusur tha un ka
baad barson ke wo mile mujh se
kuchh to maqsad zarur tha un ka
dil liTaya to kya kiya hasil
wo to kab se huzur tha un ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.