Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq meri zaban se nikla

Siraj Faisal Khan

ishq meri zaban se nikla

Siraj Faisal Khan

'ishq merī zabān se niklā

aur maiñ ḳhāndān se niklā

sab muhāfiz jahāñ pe baiThe the

bheḌiyā us machān se niklā

maiñ ne Thokar zamīñ pe maarī to

rāsta āsmān se niklā

qatl jab kar ga.e use qātil

har koī tab makān se niklā

log takte rahe samundar ko

aur bhañvar bādbān se niklā

ruup ik an-chhuā ġhazloñ

aaj mere bayān se niklā

'ishq meri zaban se nikla

aur main KHandan se nikla

sab muhafiz jahan pe baiThe the

bheDiya us machan se nikla

main ne Thokar zamin pe mari to

rasta aasman se nikla

qatl jab kar gae use qatil

har koi tab makan se nikla

log takte rahe samundar ko

aur bhanwar baadban se nikla

rup ek an-chhua sa ghazlon ka

aaj mere bayan se nikla

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now