ishq na-kaamyab hona tha
'ishq nā-kāmyāb honā thā
mujh ko ḳhāna-ḳharāb honā thā
tum se jab baat ho na paa.ī kabhī
yuuñ lagā din ḳharāb honā thā
aa ga.e tum to mai-kada kyā hai
varna shauq-e-sharāb honā thā
bebasī kyoñ basī hai chitvan meñ
terī āñkhoñ meñ ḳhvāb honā thā
zāhid-o-pārsā se guft-o-shunīd
bas ‘azāb-o-savāb honā thā
kyoñ kisī aur kā nasīb hue
tum ko merā nisāb honā thā
nafratoñ kī siyāsateñ kab tak
koī din ijtināb honā thā
dhokā sahrā meñ khā ga.e 'shārib'
dasht thā to sarāb honā thā
'ishq na-kaamyab hona tha
mujh ko KHana-KHarab hona tha
tum se jab baat ho na pai kabhi
yun laga din KHarab hona tha
aa gae tum to mai-kada kya hai
warna shauq-e-sharab hona tha
bebasi kyon basi hai chitwan mein
teri aankhon mein KHwab hona tha
zahid-o-parsa se guft-o-shunid
bas ‘azab-o-sawab hona tha
kyon kisi aur ka nasib hue
tum ko mera nisab hona tha
nafraton ki siyasaten kab tak
koi din ijtinab hona tha
dhoka sahra mein kha gae 'shaarib'
dasht tha to sarab hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.