ishq nahin jo zist ko daulat-e-agahi na de
ishq nahīñ jo ziist ko daulat-e-āgahī na de
mahr nahīñ jo ḳhaak ko ḳhil.at-e-raushnī na de
baada nahīñ vo sāqiyā jo na.ī sarḳhushī na de
ishrat-e-zindagī na de nashsha-e-āgahī na de
jām-e-ḳhudī de sāqiyā sāġhar-e-be-ḳhudī na de
bāda-e-hosh de mujhe dārū-e-be-hushī na de
āmad-e-nau-bahār kī dāvat-e-sar-ḳhushī na de
bād-e-nasīm hī vo kyā jo na.ī tāzgī na de
donoñ jahāñ kā bār-e-ġham kis se uThegā ai ḳhudā
yā ġham-e-zindagī na de yā ġham-e-āshiqī na de
maiñ ne ḳhudā se pahle din rakkhī thī shart-e-zindagī
yā mujhe zindagī hī de yā mujhe zindagī na de
rah-rav-e-rāh-e-zindagī vaqt se tez chaal chal
rāhbaroñ ko raah meñ fursat-e-rahzanī na de
harf hai laġhzish-e-qalam harf hai ḳhatt-e-nā-rasā
harf jo raushnī na de lafz jo āgahī na de
ishq nahin jo zist ko daulat-e-agahi na de
mahr nahin jo KHak ko KHilat-e-raushni na de
baada nahin wo saqiya jo nai sarKHushi na de
ishrat-e-zindagi na de nashsha-e-agahi na de
jam-e-KHudi de saqiya saghar-e-be-KHudi na de
baada-e-hosh de mujhe daru-e-be-hushi na de
aamad-e-nau-bahaar ki dawat-e-sar-KHushi na de
baad-e-nasim hi wo kya jo nai tazgi na de
donon jahan ka bar-e-gham kis se uThega ai KHuda
ya gham-e-zindagi na de ya gham-e-ashiqi na de
main ne KHuda se pahle din rakkhi thi shart-e-zindagi
ya mujhe zindagi hi de ya mujhe zindagi na de
rah-raw-e-rah-e-zindagi waqt se tez chaal chal
rahbaron ko rah mein fursat-e-rahzani na de
harf hai laghzish-e-qalam harf hai KHatt-e-na-rasa
harf jo raushni na de lafz jo aagahi na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.