ishq ne apna karishma ye dikha kar chhoDa
ishq ne apnā karishma ye dikhā kar chhoḌā
daaġh dāman pe mire ġham kā lagā kar chhoḌā
ai hayā tū ne jo gulshan meñ luTā.ī shabnam
maiñ ne har phuul ko paimāna banā kar chhoḌā
soz-e-ulfat kī qasam ātish-e-ulfat kī qasam
band kamre meñ mujhe tū ne jalā kar chhoḌā
merī vahshat kā sabab pūchhtā phirtā hai vahī
mujh ko jis shaḳhs ne dīvāna banā kar chhoḌā
kaun sī bazm rahī aah vafā se ḳhālī
har jagah 'josh' ne tūfān uThā kar chhoḌā
ishq ne apna karishma ye dikha kar chhoDa
dagh daman pe mere gham ka laga kar chhoDa
ai haya tu ne jo gulshan mein luTai shabnam
main ne har phul ko paimana bana kar chhoDa
soz-e-ulfat ki qasam aatish-e-ulfat ki qasam
band kamre mein mujhe tu ne jala kar chhoDa
meri wahshat ka sabab puchhta phirta hai wahi
mujh ko jis shaKHs ne diwana bana kar chhoDa
kaun si bazm rahi aah wafa se KHali
har jagah 'josh' ne tufan uTha kar chhoDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.