Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ne barbaad kar di zindagi hae re ishq

Vijay Arun

ishq ne barbaad kar di zindagi hae re ishq

Vijay Arun

MORE BYVijay Arun

    ishq ne barbād kar zindagī haa.e re ishq

    kam huī phir bhī na us dil-kashī haa.e re ishq

    tairtā ġham ke samundar meñ ho jaise koī shaḳhs

    aur muTThī meñ ho us har ḳhushī haa.e re ishq

    ek dil āshiq hai aur tanz ke sau tiir haiñ

    phir bhī hoñToñ par hai us ik hañsī haa.e re ishq

    dhuup ḳhushiyoñ hai be-shak har taraf phailī huī

    aañkh āshiq hai phir bhī shabnamī haa.e re ishq

    haañ mujhe bhī tum se ulfat hai ye sunñe ke liye

    ai 'arun' ik umr maiñ ne kaaT haa.e re ishq

    ishq ne barbaad kar di zindagi hae re ishq

    kam hui phir bhi na us ki dil-kashi hae re ishq

    tairta gham ke samundar mein ho jaise koi shaKHs

    aur muTThi mein ho us ki har KHushi hae re ishq

    ek dil aashiq ka hai aur tanz ke sau tir hain

    phir bhi honTon par hai us ki ek hansi hae re ishq

    dhup KHushiyon ki hai be-shak har taraf phaili hui

    aankh aashiq ki hai phir bhi shabnami hae re ishq

    han mujhe bhi tum se ulfat hai ye sunne ke liye

    ai 'arun' ek umr main ne kaT di hae re ishq

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 567)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
    • Edition : 2013-14
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now