ishq ne jab bhi kisi dil pe hukumat ki hai
ishq ne jab bhī kisī dil pe hukūmat kī hai
to use dard kī me.arāj ināyat kī hai
apnī tā.īd pe ḳhud aql bhī hairān huī
dil ne aise mire ḳhvāboñ kī himāyat kī hai
shahr-e-ehsās tirī yaad se raushan kar ke
maiñ ne har ghar meñ tire zikr kī jur.at kī hai
mujh ko lagtā hai ki insān adhūrā hai abhī
tū ne duniyā meñ use bhej ke ujlat kī hai
shahr ke tīra-tarīñ ghar se vo ḳhurshīd milā
jis kī tanvīr meñ tāsīr qayāmat kī hai
sochtā huuñ ki maiñ aise meñ kidhar ko jā.ūñ
terā milnā bhī kaThin, yaad bhī shiddat kī hai
is tarah auñdhe paḌe haiñ ye shikasta jazbe
jaise ik vahm ne in sab kī imāmat kī hai
ye jo bikhrī huī lāsheñ haiñ varaq par 'javvād'
ye mire zabt se lafzoñ ne baġhāvat kī hai
ishq ne jab bhi kisi dil pe hukumat ki hai
to use dard ki mearaj inayat ki hai
apni taid pe KHud aql bhi hairan hui
dil ne aise mere KHwabon ki himayat ki hai
shahr-e-ehsas teri yaad se raushan kar ke
main ne har ghar mein tere zikr ki jurat ki hai
mujh ko lagta hai ki insan adhura hai abhi
tu ne duniya mein use bhej ke ujlat ki hai
shahr ke tira-tarin ghar se wo KHurshid mila
jis ki tanwir mein tasir qayamat ki hai
sochta hun ki main aise mein kidhar ko jaun
tera milna bhi kaThin, yaad bhi shiddat ki hai
is tarah aundhe paDe hain ye shikasta jazbe
jaise ek wahm ne in sab ki imamat ki hai
ye jo bikhri hui lashen hain waraq par 'jawwad'
ye mere zabt se lafzon ne baghawat ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.