ishq ne kar diya kya kya suKHan-ara tere nam
ishq ne kar diyā kyā kyā suḳhan-ārā tire naam
vo jo gaatā thā falak par vo sitārā tire naam
usī fayyāzi kā saaya hai mire lafzoñ par
jis ne baḳhshā hai samarqand o buḳhārā tire naam
aur maiñ detā bhī kyā apne junūñ kī qīmat
kar diyā mausam-e-gul saare kā saarā tire naam
chashm-e-giryāñ kī qasam dīda-e-vīrāñ kī qasam
vādi-e-shauq kā har ek nazārā tire naam
jitne nuqsān the sab ḳhud hī uThā.e haiñ 'ziyā'
maiñ ne rakkhā hī nahīñ koī ḳhasārā tire naam
ishq ne kar diya kya kya suKHan-ara tere nam
wo jo gata tha falak par wo sitara tere nam
usi fayyazi ka saya hai mere lafzon par
jis ne baKHsha hai samarqand o buKHara tere nam
aur main deta bhi kya apne junun ki qimat
kar diya mausam-e-gul sare ka sara tere nam
chashm-e-giryan ki qasam dida-e-viran ki qasam
wadi-e-shauq ka har ek nazara tere nam
jitne nuqsan the sab KHud hi uThae hain 'ziya'
main ne rakkha hi nahin koi KHasara tere nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.