Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ne tere na jaane kya tamasha kar diya

Azeez Moradabadi

ishq ne tere na jaane kya tamasha kar diya

Azeez Moradabadi

MORE BYAzeez Moradabadi

    ishq ne tere na jaane kyā tamāshā kar diyā

    ek qatra thā maiñ lekin mujh ko dariyā kar diyā

    jab junūñ merā baḌhā to us ne aisā kar diyā

    un ko sharminda kiyā aur mujh ko rusvā kar diyā

    ishq merā chhup nahīñ saktā chhupāne se mire

    āñsuoñ ne ḳhuub bah kar is ko ifshā kar diyā

    ek jalva jo kabhī ne dikhāyā thā mujhe

    tere is jalve ne mahv-e-tamāshā kar diyā

    kaun-sī thī vo ḳhatā jis mujhe ye sazā

    bazm se ne uThā kar mujh ko rusvā kar diyā

    ab talāsh-e-chāragar maiñ kyoñ karūñ aur kis liye

    dard ne ab to mirā ḳhud mudāvā kar diyā

    kyā zarūrat hai chhupāne mire qātil ko ab

    ḳhuun ne us ko zabāñ se āshkāra kar diyā

    maiñ bahut mamnūn-e-ehsāñ huuñ 'azīz' is ishq

    jis ne mere qalb ko husn-e-mujalla kar diyā

    ishq ne tere na jaane kya tamasha kar diya

    ek qatra tha main lekin mujh ko dariya kar diya

    jab junun mera baDha to us ne aisa kar diya

    un ko sharminda kiya aur mujh ko ruswa kar diya

    ishq mera chhup nahin sakta chhupane se mere

    aansuon ne KHub bah kar is ko ifsha kar diya

    ek jalwa jo kabhi tu ne dikhaya tha mujhe

    tere is jalwe hi ne mahw-e-tamasha kar diya

    kaun-si thi wo KHata jis ki mujhe di ye saza

    bazm se tu ne uTha kar mujh ko ruswa kar diya

    ab talash-e-chaaragar main kyon karun aur kis liye

    dard ne ab to mera KHud hi mudawa kar diya

    kya zarurat hai chhupane ki mere qatil ko ab

    KHun ne us ko zaban se aashkara kar diya

    main bahut mamnun-e-ehsan hun 'aziz' is ishq ka

    jis ne mere qalb ko husn-e-mujalla kar diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now