ishq nuqsan tak nahin pohncha
'ishq nuqsān tak nahīñ pohñchā
ye abhī jaan tak nahīñ pohñchā
ek muddat se ghar kī jānib huuñ
phir bhī dālān tak nahīñ pohñchā
ḳhvāb to beshtar nazar aa.e
koī 'unvān tak nahīñ pohñchā
aaj phir mar gayā kitāboñ meñ
phuul guldān tak nahīñ pohñchā
merī ḳhvāhish thī qaid se chhūTūñ
koī zindān tak nahīñ pohñchā
kis tarah ham ise davā kah deñ
dard imkān tak nahīñ pohñchā
husn terā bahut hai ḳhuub magar
māh-e-kan’ān tak nahīñ pohñchā
'ishq nuqsan tak nahin pohncha
ye abhi jaan tak nahin pohncha
ek muddat se ghar ki jaanib hun
phir bhi dalan tak nahin pohncha
KHwab to beshtar nazar aae
koi 'unwan tak nahin pohncha
aaj phir mar gaya kitabon mein
phul guldan tak nahin pohncha
meri KHwahish thi qaid se chhuTun
koi zindan tak nahin pohncha
kis tarah hum ise dawa kah den
dard imkan tak nahin pohncha
husn tera bahut hai KHub magar
mah-e-kan’an tak nahin pohncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.