ishq-o-mohabbat jari rakh
'ishq-o-mohabbat jaarī rakh
kuchh to duniyā-dārī rakh
apnī sharāfat bech na de
chāhe jis se yaarī rakh
gul jis meñ har rang ke hoñ
'ishq kī vo phulvārī rakh
ġhaflat se bachne ke liye
raah meñ kuchh dushvārī rakh
apnī to pahchān banā
thoḌī sī ḳhuddārī rakh
she'r-o-adab kī mahfil meñ
she'r zarā me'yārī rakh
jab bhī vaqt paḌe 'ḳhushtar'
chalne kī tayyārī rakh
'ishq-o-mohabbat jari rakh
kuchh to duniya-dari rakh
apni sharafat bech na de
chahe jis se yari rakh
gul jis mein har rang ke hon
'ishq ki wo phulwari rakh
ghaflat se bachne ke liye
rah mein kuchh dushwari rakh
apni to pahchan bana
thoDi si KHuddari rakh
she'r-o-adab ki mahfil mein
she'r zara me'yari rakh
jab bhi waqt paDe 'KHushtar'
chalne ki tayyari rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.