‘ishq-o-mohabbat ke afsane kal bhi the aur aaj bhi hain
‘ishq-o-mohabbat ke afsane kal bhi the aur aaj bhi hain
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
‘ishq-o-mohabbat ke afsāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
sham’-e-javānī ke parvāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
mahfil meñ dil-soz tarāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
log na.e aur zaḳhm purāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
mazdūroñ ke ḳhvāb suhāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
dhan vāloñ ke tāne-bāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
kahne ko to rahmat ban kar bādal ghir-ghir aate haiñ
bijlī kī zad meñ kāshāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
kab din achchhe ā.eñge kab husn kī fitrat badlegī
qadam-qadam par laakh bahāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
bastī bastī ḳhāmoshī hai mahfil mahfil sannāTā
ḳhatre duniyā ko anjāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
sach kahte haiñ kahne vaale muhr hai daane daane par
kuchh logoñ ke ghar meñ daane kal bhī the aur aaj bhī haiñ
rang-mahal kī baat na pūchho saaqī bhī hai sāġhar bhī
band ġharīboñ par maiḳhāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
kis ne kis kā dard baTāyā kis ne kis kā saath diyā
log yahāñ jāne-pahchāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
koī mujāhid aisā bhī ho rok sake jo tūfānoñ ko
ye dānish-var ye farzāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
phuul khile haiñ Daalī Daalī in matvāloñ ke dam se
dhun ke pakke kuchh dīvāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
amn kī baat ab chal niklī hai paane vaale pā leñge
koshish meñ apne begāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
'zaidī' āhū-chashmoñ se kyā tīr-e-nazar kī baat kareñ
na.e shikārī na.e nishāne kal bhī the aur aaj bhī haiñ
‘ishq-o-mohabbat ke afsane kal bhi the aur aaj bhi hain
sham’-e-jawani ke parwane kal bhi the aur aaj bhi hain
mahfil mein dil-soz tarane kal bhi the aur aaj bhi hain
log nae aur zaKHm purane kal bhi the aur aaj bhi hain
mazduron ke KHwab suhane kal bhi the aur aaj bhi hain
dhan walon ke tane-bane kal bhi the aur aaj bhi hain
kahne ko to rahmat ban kar baadal ghir-ghir aate hain
bijli ki zad mein kashane kal bhi the aur aaj bhi hain
kab din achchhe aaenge kab husn ki fitrat badlegi
qadam-qadam par lakh bahane kal bhi the aur aaj bhi hain
basti basti KHamoshi hai mahfil mahfil sannaTa
KHatre duniya ko anjaane kal bhi the aur aaj bhi hain
sach kahte hain kahne wale muhr hai dane dane par
kuchh logon ke ghar mein dane kal bhi the aur aaj bhi hain
rang-mahal ki baat na puchho saqi bhi hai saghar bhi
band gharibon par maiKHane kal bhi the aur aaj bhi hain
kis ne kis ka dard baTaya kis ne kis ka sath diya
log yahan jaane-pahchane kal bhi the aur aaj bhi hain
koi mujahid aisa bhi ho rok sake jo tufanon ko
ye danish-war ye farzane kal bhi the aur aaj bhi hain
phul khile hain Dali Dali in matwalon ke dam se
dhun ke pakke kuchh diwane kal bhi the aur aaj bhi hain
amn ki baat ab chal nikli hai pane wale pa lenge
koshish mein apne begane kal bhi the aur aaj bhi hain
'zaidi' aahu-chashmon se kya tir-e-nazar ki baat karen
nae shikari nae nishane kal bhi the aur aaj bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.