ishq pahle to hasin manzar mein lata hai hamein
ishq pahle to hasin manzar mein lata hai hamein
Raghvendra Dwivedi
MORE BYRaghvendra Dwivedi
ishq pahle to hasīñ manzar meñ laatā hai hameñ
baad meñ be-had ghane jangal dikhātā hai hameñ
sukh bahut jaldī uThā detā hai apne paas se
der tak mahfil meñ apnī dukh biThātā hai hameñ
vo ḳhudā hai jo sazā detā hai kar ke dar-ba-dar
aur vo bhī hai ḳhudā jo dar dikhātā hai hameñ
jis ne sīkhī haiñ hamīñ se sher kī bārīkiyāñ
ab ġhazal kahne kā nusḳha vo batātā hai hameñ
jab bhī ūñchā qad lage to āsmāñ ko dekhnā
aadmī baunā hai kitnā ye batātā hai hameñ
ishq pahle to hasin manzar mein lata hai hamein
baad mein be-had ghane jangal dikhata hai hamein
sukh bahut jaldi uTha deta hai apne pas se
der tak mahfil mein apni dukh biThata hai hamein
wo KHuda hai jo saza deta hai kar ke dar-ba-dar
aur wo bhi hai KHuda jo dar dikhata hai hamein
jis ne sikhi hain hamin se sher ki barikiyan
ab ghazal kahne ka nusKHa wo batata hai hamein
jab bhi uncha qad lage to aasman ko dekhna
aadmi bauna hai kitna ye batata hai hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.