ishq par zor chal nahin sakta
ishq par zor chal nahīñ saktā
dil sambhāle sambhal nahīñ saktā
aa ke duniyā meñ inqalāb koī
dil kī duniyā badal nahīñ saktā
un kī nazreñ badal ga.iiñ varna
yuuñ zamāna badal nahīñ saktā
rañg-e-hastī hai inqalāb agar
rañg-e-hastī badal nahīñ saktā
aa gayā huuñ vahāñ se ghabrā kar
ab kahīñ dil bahal nahīñ saktā
ishq kī aag meñ jo jaltā hai
vo jahannum meñ jal nahīñ saktā
vo nigāheñ badal ga.iiñ 'bismil'
ab zamāna badal nahīñ saktā
ishq par zor chal nahin sakta
dil sambhaale sambhal nahin sakta
aa ke duniya mein inqalab koi
dil ki duniya badal nahin sakta
un ki nazren badal gain warna
yun zamana badal nahin sakta
rang-e-hasti hai inqalab agar
rang-e-hasti badal nahin sakta
aa gaya hun wahan se ghabra kar
ab kahin dil bahal nahin sakta
ishq ki aag mein jo jalta hai
wo jahannum mein jal nahin sakta
wo nigahen badal gain 'bismil'
ab zamana badal nahin sakta
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 140)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.