ishq phir rang wo laya hai ki ji jaane hai
ishq phir rañg vo laayā hai ki jī jaane hai
dil kā ye rañg banāyā hai ki jī jaane hai
naaz uThāne meñ jafā.eñ to uThā.īñ lekin
lutf bhī aisā uThāyā hai ki jī jaane hai
zaḳhm us teġh-e-nigah kā mire dil ne hañs kar
is maze-dārī se khāyā hai ki jī jaane hai
us kī duzdīda nigah ne mire dil meñ chhup kar
tiir is Dhab se lagāyā hai ki jī jaane hai
baam par chaḌh ke tamāshe ko hameñ husn apnā
is tamāshe se dikhāyā hai ki jī jaane hai
us kī furqat meñ hameñ charḳh-e-sitamgār ne aah
ye rulāyā, ye rulāyā hai ki jī jaane hai
hukm chuppī kā huā shab to sahar tak ham ne
ratjagā aisā manāyā hai ki jī jaane hai
talve sahlāne meñ go uuñgh ke jhuk jhuk to paḌe
par mazā bhī vo uḌāyā hai ki jī jaane hai
rañj milne ke bahut dil ne sahe lek 'nazīr'
yaar bhī aisā milāyā hai ki jī jaane hai
ishq phir rang wo laya hai ki ji jaane hai
dil ka ye rang banaya hai ki ji jaane hai
naz uThane mein jafaen to uThain lekin
lutf bhi aisa uThaya hai ki ji jaane hai
zaKHm us tegh-e-nigah ka mere dil ne hans kar
is maze-dari se khaya hai ki ji jaane hai
us ki duzdida nigah ne mere dil mein chhup kar
tir is Dhab se lagaya hai ki ji jaane hai
baam par chaDh ke tamashe ko hamein husn apna
is tamashe se dikhaya hai ki ji jaane hai
us ki furqat mein hamein charKH-e-sitamgar ne aah
ye rulaya, ye rulaya hai ki ji jaane hai
hukm chuppi ka hua shab to sahar tak hum ne
ratjaga aisa manaya hai ki ji jaane hai
talwe sahlane mein go ungh ke jhuk jhuk to paDe
par maza bhi wo uDaya hai ki ji jaane hai
ranj milne ke bahut dil ne sahe lek 'nazir'
yar bhi aisa milaya hai ki ji jaane hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.