ishq ras aaega paband-e-nazar hone tak
'ishq raas aa.egā pāband-e-nazar hone tak
us ke jalve nazar ā.eñge sahar hone tak
aap tashrīf to le aa.eñ karam to farmā.eñ
ghar ko kuchh der to lag jā.egī ghar hone tak
terī yādoñ ke charāġhoñ se sajāyā hai ise
dil zarā Thahre tirī rāhguzar hone tak
raat kī raat hai ye ġham kī ijāra-dārī
phuul ban jā.eñge ye ashk sahar hone tak
ab yahī bachcha batā.egā tumheñ har rasta
ab yahī tuḳhm hī phal degā shajar hone tak
dil bhī un kā hai nazar bhī hai jigar bhī un kā
ham idhar ke kahāñ rah paa.e udhar hone tak
gesū-e-shab kī ye afshāñ bhī bikhar jā.egī
niiñd aa jā.egī tāroñ ko sahar hone tak
aaj 'fārūq' mohabbat meñ aziyyat hai bahut
raas aa jā.egī kal ḳhūn-e-jigar hone tak
'ishq ras aaega paband-e-nazar hone tak
us ke jalwe nazar aaenge sahar hone tak
aap tashrif to le aaen karam to farmaen
ghar ko kuchh der to lag jaegi ghar hone tak
teri yaadon ke charaghon se sajaya hai ise
dil zara Thahre teri rahguzar hone tak
raat ki raat hai ye gham ki ijara-dari
phul ban jaenge ye ashk sahar hone tak
ab yahi bachcha bataega tumhein har rasta
ab yahi tuKHm hi phal dega shajar hone tak
dil bhi un ka hai nazar bhi hai jigar bhi un ka
hum idhar ke kahan rah pae udhar hone tak
gesu-e-shab ki ye afshan bhi bikhar jaegi
nind aa jaegi taron ko sahar hone tak
aaj 'faruq' mohabbat mein aziyyat hai bahut
ras aa jaegi kal KHun-e-jigar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.