Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ruswa sar-e-bazar hua hai kya kya

Payam Fatehpuri

ishq ruswa sar-e-bazar hua hai kya kya

Payam Fatehpuri

MORE BYPayam Fatehpuri

    ishq rusvā sar-e-bāzār huā hai kyā kyā

    roz jashn-e-rasan-o-dār huā hai kyā kyā

    ta.ana-o-tanz parvā na malāmat ḳhayāl

    tire ishq meñ nā-chār huā hai kyā kyā

    kitne nāseh-e-mushfiq phire nākām na pūchh

    chuur ā.īna-e-pindār huā hai kyā kyā

    terī furqat tirā milnā to baḌī baat na thī

    kaam jo sahl thā dushvār huā hai kyā kyā

    ham jo us bazm ko Thukrā ke chale aa.e haiñ

    ham pe nāzāñ dil-e-ḳhuddār huā hai kyā kyā

    fikr-e-āġhāz 'payām' aur na anjām ġham

    ham pe ehsān-e-ġham-e-yār huā hai kyā kyā

    ishq ruswa sar-e-bazar hua hai kya kya

    roz jashn-e-rasan-o-dar hua hai kya kya

    tana-o-tanz ki parwa na malamat ka KHayal

    ji tere ishq mein na-chaar hua hai kya kya

    kitne hi naseh-e-mushfiq phire nakaam na puchh

    chur aaina-e-pindar hua hai kya kya

    teri furqat tera milna to baDi baat na thi

    kaam jo sahl tha dushwar hua hai kya kya

    hum jo us bazm ko Thukra ke chale aae hain

    hum pe nazan dil-e-KHuddar hua hai kya kya

    fikr-e-aghaz 'payam' aur na anjam ka gham

    hum pe ehsan-e-gham-e-yar hua hai kya kya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now