ishq sadiq ho to KHuddar-numa hota hai
ishq sādiq ho to ḳhud.dār-numā hotā hai
ḳhizr bhī varna jo mil jaa.e to kyā hotā hai
aur to aap se ai vā.izo kyā hotā hai
ek le de ke jahannum kā bhalā hotā hai
dil jo āmāda-e-iz.hār-e-jafā hotā hai
ḳhanda-zan sheva-e-arbāb-e-vafā hotā hai
but bane baiThe haiñ but kahiye to hote haiñ ḳhafā
ye samajhte haiñ ki patthar to ḳhudā hotā hai
kabhī is phuul ko chheḌā kabhī us ko jhaTkā
aur kyā kaam tirā bād-e-sabā hotā hai
arsa-e-ishq nahīñ ahl-e-havas kā maidāñ
zikr-e-ḳhanjar hī se dam un kā fanā hotā hai
diin kī aaḌ meñ duniyā ko kamāne vaale
dekhnā hashr ke maidān meñ kyā hotā hai
aaj us dar pe hai kal us pe hai parsoñ us par
māl-o-iqbāl haqīqat meñ gadā hotā hai
dekh kar rang-e-harīfān-e-zamāna 'shāġhil'
shikva hotā hai magar shikve se kyā hotā hai
ishq sadiq ho to KHuddar-numa hota hai
KHizr bhi warna jo mil jae to kya hota hai
aur to aap se ai waizo kya hota hai
ek le de ke jahannum ka bhala hota hai
dil jo aamada-e-izhaar-e-jafa hota hai
KHanda-zan shewa-e-arbab-e-wafa hota hai
but bane baiThe hain but kahiye to hote hain KHafa
ye samajhte hain ki patthar to KHuda hota hai
kabhi is phul ko chheDa kabhi us ko jhaTka
aur kya kaam tera baad-e-saba hota hai
arsa-e-ishq nahin ahl-e-hawas ka maidan
zikr-e-KHanjar hi se dam un ka fana hota hai
din ki aaD mein duniya ko kamane wale
dekhna hashr ke maidan mein kya hota hai
aaj us dar pe hai kal us pe hai parson us par
mal-o-iqbaal haqiqat mein gada hota hai
dekh kar rang-e-harifan-e-zamana 'shaghil'
shikwa hota hai magar shikwe se kya hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.